ek pyaar kaa naGamaa hai, maujo.n kii ravaanii hai

ek pyaar kaa naGamaa hai, maujo.n kii ravaanii hai      
zi.ndagii aur kuchh bhii nahii.n, terii merii kahaanii hai - (2)

kuchh paakar khonaa hai, kuchh khokar paanaa hai
jiivan kaa matalab to, aanaa aur jaanaa hai
do pal ke jiivan se, ek umr churaanii hai
zi.ndagii aur...

tuu dhaar hai nadiyaa kii, mai.n teraa kinaaraa huu.N
tuu meraa sahaaraa hai, mai.n teraa sahaaraa huu.N
aa.Nkho.n me.n sama.ndar hai, aashaao.n kaa paanii hai
zi.ndagii aur...

tuufaan to aanaa hai, aakar chale jaanaa hai
baadal hai ye kuchh pal kaa, chhaakar Dhal jaanaa hai
parachhaai.nyaa.N rah jaatii.n, rah jaatii nishaanii hai
zi.ndagii aur...

jo dil ko tasallii de, vo saaz uThaa laao
dam ghuTane se pahale hii, aavaaz uThaa laao
khushiyo.n kii tamannaa hai, ashko.n kii ravaanii hai
zi.ndagii aur...